jump to navigation

Takhleeq – تخلیق کا عمل

 

my-prayers.gif

Takhleeq ka amal-purple copymother_praying1.jpgfloweranimated1.gifbeautiful2.gif

Takhleeq ka amal usey sachi khushi laga

Aurat ko karb’e’zaat nai zindagi laga

glitter_fairy_globe

Lagta hai mujhko mein kisi murdah badan mein thi

Jeene ka hosla jo mila ajnabi laga

glitter_fairy_globe

Aati hui ruton ki achanak khaber mili

Jab rang dhaalne koi tazah kali laga

glitter_fairy_globe

Sapne mein kya likha hai ye tune Nigaar’e’shab

Wo chaand ki misaal mujhey chaand hi laga

glitter_fairy_globe

Ik jheel mein kanwal pe wo meh’we’ Khiraam khwab

Aankhon ke paaniyon ki mujhe shairy laga

glitter_fairy_globe

Khushboo se jis ki rehti hon sarshaar O dam’ba’khud

Paiker mera usi ko bohut kaamni laga

glitter_fairy_globe

Naina Ur’ri jo neend tau ik jaan’fiza khayaal

Khushboo laga bahaar laga roshni laga

Nasreen Syed NainaaN URi jo neend tao ikk jaaN fiza khayaal
Khushboo laga , bahaar laga , roshni kaga !

Kia hi baat hai. Bohat khoobsoorat jazbaat ko haseen alfaaz ka badan mila hai. Wah

18 February 2009 at 00:49

Farzana Khan Thanks my sweet Nasreen ji 🙂

18 February 2009 at 01:07

Abdul Qayyum Khan Bangash Great!

18 February 2009 at 01:15

Shahzad Aslam lagta hy muj ko meiN kisi murda badan meiN thi
jeeny ka housla jo mila,ajnabi laga.
bohat khoob.

18 February 2009 at 01:18

Naheed Virk Farzana G, Takhliq kaa amal .. kitnaa jaandaar she’r kahaa hai aap ne. waqai meN aik aurat ke liye iss se baRi aur sachi khushi kyaa ho gee, umdah!

18 February 2009 at 01:21

Neelam Qazi wonderful, kya likha hai, Aurat ki poori zindagi aur maan banne ka amal eik sher mein bhar diya, very very nice Naina, poori kahani hai kaise hum jaan per khel ker apni aulaad ke liye janam leti hai, yehi to sachi khushi hai or kamni wala sher meri taraf se apne naam ker lo.

18 February 2009 at 01:26

Raza Shah Superb takhleeq by Naina. excellent thinking.

18 February 2009 at 02:02

Kusum Soni

would i need help from someone to read Takheeq Ka Amal?
i don’t know how to read Urdu. if someone can write this in English or Hindi??

Dil ki raahon pe jo atke hain zubbanon ke masle
Zubbanein baandh deti hain taqudeeron ke aalingan
…jab khul ke bayan nahi hota surat-e-haal mere Maullah!
ishq ki mehfil meifil mein
aashiq khaamosh aate hain
mehfil khatam hone se pehle hi
khaamosh guzar jaate hain
isi liye to saaki ur jaam to kya
isqu bhi baazaar-e- mehfil ban gaya
tukre- tukre kaanch par naachti hai aaurat
fir bhi tum ho tanha aur main bhi tanha
dil ki raahon pe jo atke hain zubaano ke masle…….See more

18 February 2009 at 02:45

Kusum Soni i liked Naina video and the song

18 February 2009 at 02:46

Ali Wajid Khan Of Life, Hope and Inspiration. Beautiful Naina ji…

18 February 2009 at 06:26

Razi Ud Din Razi achi ghazal hy farzana sahiba

18 February 2009 at 06:27

Irfan Murtaza Ferzana G!
I thought keh aankhoN kay paaniyoN ki shaair to maiN kerta hoon…lagta hay aap ko bhi yehi beemaari laa huq hay…
Aik achhi ghazal share kernay ka shukrya!!!

18 February 2009 at 07:29

Jamshed Masroor

Khubsoorat ghazal hai——-aap ki Aati hui rutoN say mujhay apna Jati hui rutoN wala sher yaad aa gaya————-

“Jaati hui rutoN ka smaN kis ko yad hai
mausam meri gali say udhar hi bdal gaye”

…Jamshed MasroorSee more

18 February 2009 at 08:30

Mubashir Saeed

acchi ghazal hy, umaada keyal hy
wah wah
dadd hazer hyy

NainaaN URi jo neend tao ikk jaaN fiza khayaal
…Khushboo laga , bahaar laga , roshni kaga !

jazboon ko bolwana koye ap sy seekhyyyyyyySee more

18 February 2009 at 08:37

Muhammad Khawar

achhi ghazal hai . daad qubool kijaiye.

matla’ aek baar dobaraa daikh leN. kaaf ki takraar tunaafir paidaa kar sakti hai

“takhleeQ Ka”
…”Ko Karab”

doosre walay meN Karab ko baa aasaani dard se badlaa ja saktaa hai.

ye mairi raa-aye hai aor aap ka iss se ittefaq karnaa qatan zaroori nahi.See more

18 February 2009 at 10:05

Zawar Comrade Aurat ka taakhliq ka amml naiy zindigi latta hay ias liay aurat ko marad par foqiaat hasil hay.Farzana G, Aap nay taakhliq ko bohat hi unique andaz mian beeian kia hay. Kia kahinay

18 February 2009 at 10:14

Ali Zaryoun

poori ghazal khobsorat hay aur is misre nay mujhe majboor kia k main tumhain kahon k ..farzana saadi sher (lion) hay baaqi hair phair hay…
“aankhon k paanion ki mujhe shayeri laga” kya hi khobsorat bat kahi gayi hay..aur maze ki bat yeh k …chaand ka tilissm tumhari zaat par jese hay bilkol wese hi is ghazal; mein bhi samne aya hay..
kanwal pe wo mahv e kharam e khab..qusoor janab ka nahi..infact tumhain khabon mein bhi chote chote buche hi nazar ate hain firsihton jese na wo angel na jin k do nannhe nanhe par hote hain aur buhat cute se hote hain..yeh misra dekh k mere dhayan mein to wohi pala sha cute sha baby bhalo hi aya hay..tum be had maan ho naina..tumhari shayeri tumhari sooch mein jo mamta hay wo intahai khobsorat hay..yaar verry good..jeeti raho bas sada khush raho Allah saien sohna dhair dhair izzat day matha roushan rakhe..

18 February 2009 at 10:36

Waqas Arshad bohaat achy farzana ji!!!!
zaberdast no doubt!!!!

18 February 2009 at 10:51

Adela Riyasat bohat he aala kia kehney farzana!kia takhleeq ki philosophy btae hy wah!!!

18 February 2009 at 18:53

Athar Khan Ek jheel mein kanwal pe woh mehw e kharaam e khawab
aankhon k paanion kee mujhay shaairy lagaa!
Bohat khoob, poori ghazal umdah hai, Thanks for sharing.

18 February 2009 at 23:34

Sheliza O’Neil Awesome ….

Comments»

1. saqi - September 6, 2012

bahut achi shairi hay kbhi kbhi pad ke maza aata hay
mujhay sara shagufta ke khat amrita pritam ke nam chaheay?

Farzana Naina - September 6, 2012

Bohut Shukriya.

2. AMsh chauhdry - September 10, 2014

Ankhon ki paniyon ki…. Awesome


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.