jump to navigation

Paas manzil ke – پاس منزل کے

00 Paas mazil ke pohunch kar

Paas manzil ke pohunch kar koi morra na kare

Aadhe raste mein hamesha mujhe chorra na kare

Golden stars

Bheek ki tarha wo deta hai rafaqat mujh ko

Itna ehsaan meri jaan pe thorra na kare

Golden stars

Toot kar choor agar ho gai jurrne ki nahein

Koi taanon se anaa ko meri phorra na kare

Golden stars

Wo hifazat nahein karta, na kare, rehne do

Mere zakhmon se koi dard nichorra na kare

Golden stars

Barf lamhaat mein tanhai se darr lagta hai

Sard lamhaon ko meri zaat mein jorra na kare

Golden stars

Chorriyan kar nahein sakti hain tashad’dud bardasht

Jaate jaate wo kalai ko marorra na kare

Golden stars

Main tayag aayi hon jis ke liye sab ko naina

Kam se kam wo tau mere maan ko phorra na kare

Golden rose 2Blue Flower Girl in ShellGolden rose 2

Comments»

No comments yet — be the first.

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.