jump to navigation

Alher Khushbo – الہڑ خوشبو

Alher khushbo - WordPress copy

Mohabbat hai talismi rang wali kaanch ki titli

Khushi ke par laga ker ye haya ki surkhiyaan le ker

Hansati hai lajati hai sureeley geet gaati hai

Mehekte sandalein jungle ki meethilooriyaan sun ker

Jabeen E shauq par likhti hai sajdon se mulaqatein

Shareer O shokh chanchal si haseena bal jo khati hai

Saraab E rah ke sab dar dareeche khool deti hai

Usi ke lams par shayad giri thi aasmaan se mein

Achanak dil ke weerane mein jab alher nai khushbo

Dabey paon dar aayi thi …………………………!!!!

 

Comments»

1. Dr. Imamuddin - October 6, 2008

good

2. kashkin - March 28, 2009

Great site and brilliant poetry…

ASIF ALI BHUTTO - October 26, 2011

buhat khoob


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.