jump to navigation

Jise dubo ke gaya tha – پانی میں

 

Jise dubo ke gaya tha hubab pani mein
Leher wo khati rahi peich O taab pani mein

Kabhi tau taar e rag’e jaan bhi cher kar dekho
Bajane jaate ho aksar rubaab pani mein

Teri nigah bohut hai mere liye saaqi
Na ghol mujhko bana kar sharaab pani mein

Khaber chapi hai jo larki ki wo nai tau nahein
Uter gai thi jo ho kar kharaab pani mein

Phir apni aag bujhane koi kahan jaey
Lagaye aag agar mahtaab pani mein

Gohar hamare bhi naina ke dekh lo aa kar
Tamaam seep nahi la’jawaab pani mein

Golden rose Bar

Comments»

No comments yet — be the first.

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.