jump to navigation

Aasman Ke Rangon – آسماں کے رنگوں میں

welcome pink 5Aasman ke rangon mein-Wordpress-Farzana Naina

book-135.gif

Aasman ke rangon mein rang hai sha-habi sa
Dhiyaan mein hai phir chehra eik mah-tabi sa

Small Diamond

Phir hawa chali shayad bhole bisre khwabon ki
Dil mein utth raha hai kuch shoq aztarabi sa

Small Diamond

Tum ajeeb qatil ho, rooh qatal kerta ho
Daaghte ho phir maatha chaand ki rakabi sa

Small Diamond

Harf pyar ke saare aa gaye thay aankhon mein
Jab liya tha haathon mein chehra wo kitabi sa

Small Diamond

Kaun keh gaya hai maut tootney se aa’ti hai
Phool ne bikher ke baagh ker diya gulabi sa

Small Diamond

Manzaron ne kirnon ka perahan jo pehna hai
Meine us ka rakha hai naam aaf’tabi sa

Small Diamond

Boond boond hoti hai rang O noor ki barkha
Jab bhi mausam aaya hai naina mein sharabi sa*Small DiamondSmall DiamondSmall Diamond

Comments»

1. syed bareed - August 25, 2009

aapki ghazal dekhi, toh umeed yaqeen may badli ke achchey shayar maujood hain.
aap se guzarish hai ke aap apni ghazlein aur shayari meri site urdu.ucoz.com per bhi post karein aur meri site ko raunaq bakhshein.
shukriya!!!!!!!

2. Zeeshan Siddiqui - March 8, 2013

Mashallah, behtreen or bht hi aala.

3. سید محمد آفاق مخدومی - September 26, 2020

نہایت اعلی تخیل۔زبان پر عبور۔لا محدود ذخیرہ الفاظ۔عمدہ تراکیب۔ پختہ شاعری۔ ماشاءاللہ


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.