jump to navigation

Tootay Par Chiryaan – ٹوٹے پر چڑیاں

i-dream-of.gif

Darakhton sey harey pat’tey hawa kyon nooch leti hai !

Wo In chirryon ke totey par kahan par beich deti hai !

Inhein jo mol koi ley

Dukhon se tol koi ley

agar dil mein ye chubh jayein

Tau gehre naqsh khub jayein

Agar hum waqt se chup kar kahin be’waqt ho jayein

Aur in chirryon ki surat

Wuqa’at apni hum bhi kho jayein

Tau kya phir bhi lagataar aise san’naton ki gehri dhol

Yahan urr urr kar aaye gi !

Tau kya phir sokhi sokhi tehniyon ki kokh mein

Ghamnaak saanson ko

wohi biptaa sunaey gi !

Harey pat’ton ki har konpal

Jo apni khushk aankhon mein

Namee ke phool chunti hai

Tapak ker boond ki man’nind rishtey torr jaey gi

Hum apni siskiyaan chal kar

Kisi khandaq ki gehrai mein

Jaa ker dafn ker aayein

Hawa ke teiz nakhun bhi tarash aayein

Tau phir in tot’tey par chirryon ko bhi

Parwaaz aayey gi

Hamari be sada baaton mein bhi

Aawaaz aayey gi !!!

******

Purple letter n 1Purple letter a 1Purple letter i 1Purple letter n 1Purple letter a 1

Muhammad Arshad Qureshi Great , Boohat Khoob, excellent

14 June 2009 at 17:13

Arshad Sulehri bahot achay, Allah karay zooray qalim our ziada

14 June 2009 at 17:42

Yahya Mubashir likie the way itz written laikin laikin nazam ka unwaaan kuch mazeed acha hona chahiyeee tha. am not critic sirf apni ra’aey dey raha hooon. keep it up miss

14 June 2009 at 17:46

Muhammad Fakharuddin Razi Unwan waqaee tawajoh chahata hai. lekin nazam apnay vujood me mukamal hai. Albata nazam ki abtedai lines ki khobsoorti centeral lines me thorri madham ho gai hai. agar thorri se aor mehnat kr li jai tu aik bemisaal nazam ho gi. leikn again……its a very good poem with beautiful centeral idea

14 June 2009 at 18:12

Faysal Siaam nice

14 June 2009 at 18:25

Muhammad Sohail khubsoorat…..

14 June 2009 at 19:04

Sohail H Khan buhat he hekhubsurat alfaz haseen jazbat k sath,Darakhton sey harey pat’tey hawa kyon nooch leti hai !
Wo In chirryon ke totey par kahan par beich deti hai ! kaia andaz -e-sukhan paya he aap ne,wah,dilnasheen,lajawab koi sani nahi aap ka.

14 June 2009 at 19:45

Babur Javed نظم پہلے ھی مصرعہ سے قاری کی توجہ حاصل ھے ، پھر قاری کو اپنے ساتھ اپنے طے کردہ مناظر کی طرف لے جاتی ھے ، قاری خود سپردگی کے عالم آخری مصرعہ تک پہچتا ھے تو اس کی آنکھوں میں کرب کی ایک ایک لہر ثبت ھو چکی ھوتی اور دکھ اسکے رگ و پے میں سرائیت کر چکا ھوتا ھے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ یہی اس نظم کی خوبی ھے

14 June 2009 at 22:09

Qayyum Khosa Babur Bhai Main Aap Kay Saath Hoon. Bahut Piyari Nazm Hai.

14 June 2009 at 22:18

رفیع رضآ

اچھی نظم ھے۔۔۔۔موضوع کے اعتبار سے بہت اچھی ۔۔
بُنت کے اعتبار سے کہیں کہیں بخیئے۔۔اُدھیڑے جا سکتے ھیں۔۔۔

وزن پُورا کرنے کے لئے بعض لفظوں لا غیر ضروری دخول کُچھ کَھلتا ھے۔۔۔
وگرنہ آپ نے مضمون کے گردا گرد اس نظم کو بُننے کی پُوری شعوری کوشش کی ھے…۔۔
اور کرب بہرحال اپنا تاثر چھوڑتا ھے۔۔۔تاھم چونکاتا نہیں۔۔۔۔
اصل میں شاعری محض حساسیت اور مُشاھدے کے بیان کا ھی نام نہیں۔۔ شاعری میں شاعری کا پایا جانا بھی ضروری ھے۔۔ تاھم کبھی مضمون کی شدت اظہار کی کمی کو پُورا کر دیتی ھے۔ اور کبھی کُچھ تشنہ رہ جاتا ھے۔

15 June 2009 at 01:03

Irfan Murtaza

Farzana Ji…..
Nazm bohat achhi hay….Shuru sey aakhir tak rawaani na sirf qaaim rehti hay balkeh yay nazm qare-een ko apnay saath saath lay ker chalti hay.

Baaz oqaat agar koi shakhs “TANQEED BARAEY TAAMEER” karay to aap usay zuroor apprec…iate keejiyay laykin “TANQEED BARAEY TANQEED” ko is treha ignore ker deejiyay keh jaysay aap “RAAH-GEER” hoN aur aap ko
in awaazoN ko ignore kerkay apna safar jaari rekhna hay.
Likhti rehyay aur post kertri rehyay. Aap ki in nazmoN ka kai logoN ko intezaar rehta hay.

15 June 2009 at 01:08

Ra’ana- Dilruba- Yasmin

WoW` This is so beautiful
So flowing and smooth
As I don’t understand much Urdu
Yet, I seem to get the picture
Like a water-colour painting
…The visuals are soothing
To my mind and soul..
..
Love & Hugs Friend **=.)
**^*^.

15 June 2009 at 01:21

Abdulqadir Siddiqui dua ky sath kahta hon wah wah wah ?

15 June 2009 at 05:04

Aziz Khan wah bhat khoob!!!!!!!!

15 June 2009 at 05:24

Nasir Ali

یہ تو یقینی ہے کہ شاعری مختلف لوگوں پر مختلف قسم کے اثرات چھڑتی ہے۔ میں ذاتی طور پر پہلے تاثر اور بعد میں معنی کی طرف جاتا ہوں۔ ایمانداری سے کہہ رہا ہوں کہ پہلا تاثر کافی اچھا تھا اتنا کہ میں نے اپنی بیوی کو بھی یہ نظم سنائی۔ بعد میں نطم کا… موضوع کی اور ٹریٹمنٹ کی طرف آیا تو اسے بھی بہت مناسب پایا۔میرے ذاتی خیا ل میں ہر موضوع اپنے ساتھ اپنا وسیلہ ء اظہار بھی لاتا ہے۔چڑیا اور ہوا جیسے سافٹ سمبل اہنے ساتھ سہل اور سمپل وسیلہ اظہار لانا چاہیے تھے اور اس نظم میں یہ واضح طور پر اسی طرح ہوا ہے۔ اس لیے یہ ایک کامیاب نظم ہے۔

15 June 2009 at 05:48

Abdul Rehman very nice

15 June 2009 at 10:36

Arshad Alie nice poem..surely heart toucing..Allah kare zor e qalam aur ziyada..keep it up..khush rahen sada..

15 June 2009 at 11:08

Inayat Khoso wa gurya wa….

15 June 2009 at 12:46

Athar Khan wah wah farzana jee, bohat khoob….khush rahein

15 June 2009 at 16:05

Vinod Bhaskar A good one. Some deep thought.

15 June 2009 at 18:44

Farzana Khan This poem was published in 1992 but never brought such a responce….:))

15 June 2009 at 21:52

رفیع رضآ

میرا شُکریہ ادا کریں اس رسپانس کےلئے۔۔ھا ھا۔۔ھآ۔۔۔
ویسے یہ نُورا کُشتی نہیں تھی۔۔ھآ ھا ھآ۔۔؃؃

ایک تجزیہ تھا جو بجائے خُود غلط ھو سکتا ھے۔۔
فرزانہ باجی آپ کی حیثیت مُسلم اور مُستند ھے۔۔……اتنا بھی بہت ھے کہ آپ اپنے اوریجنل خیلات کو رقم کرتی …ھیں۔۔۔لیکن بہرحال آپ کی کئی غزلیں بہت بُلند پائے کی ھیں۔۔۔۔۔۔۔۔نظم کا معاملہ مُختلف ھے۔۔اگر تواتر سے آپکی نظمیں آئیں تو مزید اسرار کُھلیں گے۔۔۔
۔۔
یہ سب خواتین؟؟
I would certainly like to see some analysis from Rehana Qamar Sahiba particularly.

hmmmmmmmmmmm

16 June 2009 at 00:08

Athar Khan

Farzana jee ayub khawar kuch ash’ar aap kee nazr:

aap chahei’n tou karein dard ko dil se mashroot
hum tou iss tarha ka beopaar nahi’n kar saktay

…aap kar saktay hein khushboo ko saba se mehroom
aur kuch saahib e kirdaar nahi’n kar saktay

yeh gul e dard hai iss ko tou mehakna hai huzoor
aap khushboo ko gariftaar nahi’n kar saktay!

khush rahein.

16 June 2009 at 01:52

Athar Khan

Farzana jee aap kee chiriou’n k liye kuch aur ash’ar:

shehr ko shor e qayamat chahiye
yaar yeh do char chiriaa’n kia kare’n
aap ko aakhir yeh haq kiss ne diya
…aap ahl e dil ko kiyuon ruswa kare’n
shaakh se kiyoun tor lei’n taaza gulabb
kiuon kissi titli ka haq maara kare’n
tum mukammal baat par khamosh ho
log tou poora mera jumla kare’n
qais mil jaaye tou poochei’n murshada
ishq karna chor dein hum ya kare’n? Abbas Tabish

mein tou patta nahi’n shaairi ko ab tak kaisay samjhta raha iss baar tabish bhai se mulaqat ho gi tou zaroor poochoo’n ga k iss sher ka kia matlab hai:
lafzo’n se chaao’n waza kee satro’n ko saaibaa’n kia
jaisay bhi ho saka basar waqt e zawaal e jaa’n kia
yeh lafzon kee chaao’n aur satro’n ka saaibaa’n kaisay hota hai?

16 June 2009 at 03:36

Zulfiqar Ali Sunny What a thaought! Impressive and creative.

16 June 2009 at 05:29

Aqeel Ahmad very nice

16 June 2009 at 12:12

Omer Rao its really nice

16 June 2009 at 14:07

Mansoor Muhammad Just an other master piece!

17 June 2009 at 22:08

Athar Khan

‎@mushtaq ahmad malik…kehtay hein insaan ka zarf uss k aqwaal aur bol chaal se aur kirdaar se ma’aloom hota hai..aap k comments aap k zarf k baaray meri ma’aloomat mein izaafay ka sabab banay..shukriya
mera zarf mujhay ijaazat nai deta k m…ein aisay kissi shakhs k saath behas mein uljhoo’n jo bajaaye nazm par comments denay k doosro’n k comments par aitraaz karta ho aur yeh chaahta ho k har koi takhleeq ko uss kee ainak laga kar deikhay aur shaairi ko uss k zehn mein baith kar samjhay.

Alhamd o Lillah Allah har aik kee sunta hai, shukar hai meray Mola ka k Uss ne yeh kaam insaano’n k hawaalay nai kia, warna tou hawa aur saans lena bhi band kar detay kuch kam zarf log.
aap ka zarf aap ko mubarik.

18 June 2009 at 03:01

Farzana Khan Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha

….WAH HUM PAKISTANI, khuda humko khush rakhey, Ameen Sum’ma Ameen.

19 June 2009 at 00:57

Athar Khan tumhei’n bhi qasam hai k jo sar jhuka de
ussi ko teh e teigh e be daad rakhna – Hafeez Jalandhari

19 June 2009 at 05:10

Neelam Qazi What a delicate poem, very nice.

19 June 2009 at 18:40

Neelam Qazi

Oh, yahan kya chal raha hai, poem ke bahane dil ke phapholey ka bahana khoob dhonda hai, clearly In sahib ko kisi ne bharkya hua hai jabhi aa beil mujhe mar ker rahe hain, she’s an ultimate nicest person I ever known, Radio par inhon ne Urd…u sikhane ka programme kai maheene kiya tha jis se bohut logon ne seekha, ye tau kai educational or Informative programe kerti hi rehti hain, meri in se dosti hi radio se hui thi,Someone just can’t tolarate asian women to be bold brainy and beautiful, gali mohallon ke jahilon ki tarah taney dene par utter aaye hain…naina ki poori shairy mein pakistan se dor aane wali us larki ke dukh hain jo wo doori ki waja se jhel rahi hai…kamal hai logon ka, pore pakistan ko sudharne ka tana eik pardes mein likhne wali shaira ko de rahe hain or khud kahan bhar jhonk rahe hain ??? I have to laugh as well with a dua k isi tarah hansti raho sada khush raho.Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha Ha.

19 June 2009 at 18:55

Mohammad Naeem

‎@Mushtaq
Malik Sb aap jantay haiN k k tunqeed k kuch asool hotay haiN. or us maiN sub say ehum or bra asool yeh hai k naqid tunqeed kurtay hooay na kisi ka dost ho or na dushmun. or jis tarah naikee say agay taqwa ata hai to tanqeedi taqway… ka tqaza hai ( or is pay master critics ka itfaaq hai) us ka wirter ki zaat say koee taaluq he na ho, werna kaheeN na kaheeN writer say naqqid ki mohubbut ya nufrut aray anay ka ehtmaal hota hai.or yeh aik mosaddiqa baat hai k kisi ki taqeed purhaynay say pehlay naqqaad k kaam ko isee miyaar per perkha jata hai.

Doosree ehum baat sub he jantay hai k critic ka apnay ilm per aboor or criticism ki different classifications or sub-clssifications ki hadood-o-qayyood ka ilm hona naguzeer hai. naqqaad ka maqsood mozoo k elawa doosray imranee or sciensee aloom say wasta hona bhe zroor hai. in bunyaadee shra’yet ko pora kiay bgiar kehee janay wale baat tanqeed naheeN bulkeh khrafaat kehlatee hai.
continued

19 June 2009 at 19:03

Mohammad Naeem

jahaaN tuk meree naqis aql kam kurtee or meree iss na aqlee say msha’heer adab itfaaq kurtay haiN k fictional writings maiN alfaz say ziada idea ko purkha jata hai. alfaz mehz ideas ko express ya advance kurnay ka aik tool hotay haiN. kisi …bhe lufz ya idea ko rageednay say pehlay dekhna purta hai us tehreer ka mozoo, mahool, halaat, time or speaker kea or kon hai. koe khas lufz, turkeeb ya kefiat keooN istamaal ke gaee, ye tub he samujh ata hai jub naqqaad khud her jagha per oper biaan ke gaee maroozat say agah ho.

in ko sabut kurnay k leay hzaroN dalee’laiN pesh ke ja suktee haiN, lekin maiN samujhta hooN k yahaaN mojood sub he ehlay ilm ke gaee baat k nuqtay tuk rsaee rukhtay haiN.
Allah speed!See more

19 June 2009 at 19:27

Naheed Virk

فرزانہ، کچھ لوگوں کی جمالیاتی حِس اپنے مقام سے بہت گِری ہوئی ہوتی ہے جس کی تسکین کے لئے وہ دوسروں کو بھی اپنے ہی مقام پر لا کھڑا کرتے ہیں اور پھر انہیں اپنے بیمار ذہن کے مطابق ڈسکس کرتے ہیں۔ نشے کی عادت بہت بُری ہوتی ہے چاہے وہ کسی بھی قسم …کا نشہ کیوں نہ ہو۔ اسی طرح کچھ لوگ خودپرستی کے نشے میں ہوتے ہیں جس میں ڈوب کر دوسرے انسان کی ہر اچھائی دھواں بنی اُڑتی نظر آتی ہے۔ میری نظر میں یہ خود پرست لوگ بہت مظلوم ہوتے ہیں، بیچارے ذہنی مریض ہوتے ہیں۔ مجھے ان پر بہت ترس آتا ہے اور اسی ترس میں پھر میں اُن کے صحت یابی کے لیے دعا کرتی ہوں۔
کتنی عجیب بات ہے کہ یہ ذہنی مریض چند غزلیں تخلیق کر کے اپنے آپ کو اعلی پائے کا تخلیق کار تصور کرتے ہیں مگر عورت کی تخلیق پر انگلی اٹھانے پر سب سے آگے ہوتے ہیں۔ عورت کی صلاحیتوں کا اندازہ نہیں ہے نا بیچاروں کو۔ عورت کے ہاتھوں تخلیق ہو کر اُسی کی ذات کی اُدھیڑ بُن میں مصروف رہنے کو اپنا تخلیقی سفر قرار دیتے ہیں۔

فرزانہ ہم سب آپ کے ساتھ ہیں۔ یہ کہانی صرف آپ کی نہیں ہے، ہم سب کی داستان ہے۔

20 June 2009 at 03:27

Mohammad Naeem

‎@Naheed
Well, this is not the matter of declining the standards of aesthetic senses, It’s to a great extent the matter of hitting and injuring our manly pride and chauvinism. We’ve for generations appreciated your coquettishness when standi…ng in the balcony behind a wicket or standing behind an ajar door throwing a vamp smiles while we are going in the street.
And these are only characteristics of a woman fondling our hearts with our prides at place.
One the contrary, if we praise you it’s again not without our mean motives. Europeans nations are taken as an example of greatest beacons of enlightenment, emancipation and liberty of women. What a pity! This revolution of exploiting women without being noticed started in the second world war.
But struggle is the essence of human life and women are now on the track of it.
To cut it short, keep it up, Allah is with the struggle!!!
Allah hafiz!

20 June 2009 at 11:41

Sheliza O’Neil Very nice ….

20 June 2009 at 22:41

Neelam Qazi Khwab to kaanch se bhi nazuk hain…Tootne se Inhein bacahan ahi.

21 June 2009 at 12:46

Comments»

1. pari - January 20, 2009

ciao

2. rahilahabib - June 25, 2012

superb sharing,,,,,

3. khadija - September 5, 2012

excellent fabulous thta awesome

4. Rahila Habib - September 5, 2012

Heart touching lil poem..
Blessings Naina

Farzana Naina - September 6, 2012

Thanks a lot.

5. Rahila Habib - September 6, 2012

My pleasure dear FERZANA NAINA

6. sultaanmirza - June 19, 2016

Wonderful Nazm Miss Farzana g


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.