jump to navigation

Hawa Ke Shor – ہوا کے شور کو

Flying BirdHawa ke shor ko-Wordpress copy

Hawa ke shor ko rakhna aseer jungle mein
Main sun rahi hon qalam ki sareer jungle mein

Small Diamond

Hatjeliyon pe hawa sansanati phirti hai
Main uski chah ki dhoondon lakeer jungle mein

Small Diamond

Khayal rakhna hai peiron ka khushk’saali mein
Nikalni hai mujhe jooe’y’sheer jungle mein

Small Diamond

Dayaar E jaan mein phire raat dan’danati hu
Udher hai qaid saher ka safeer jungle mein

Small Diamond

Ajeeb log hain dil ke shikaar par nikle
Kamaan sheher mein rakhte hain teer jungle mein

Small Diamond

Talab ke shehr mein tha jo sada qayaam’pazeer
Suna hai rehta hai ab wo faqeer jungle mein

Small Diamond

Kabhi jo choo ke guzar jaey narm sa jhoonka
Ye zulf le ker uraey shareer jungle mein

Small Diamond

Barey sukoon se rehte hain log basti ke
Rakhi hai dasht mein ghairat zameer jungle mein

Small Diamond

Hawa mein aaj bhi roti hai bansuri naina
Udaas phirti hai sadiyon se heer jungle mein

Name Naina multi pastle 1Thanks Quill Green

Comments»

1. Ch. Rashid Ahmad javed - December 30, 2008

The verse containing the words pair, khushksaali, joo-e-sheer and jangal carried a very delicate (lateef) message. God bless you Naina.

2. Naina - December 31, 2008

Many thanks, Rashid Sahib…Khush Rahiye.

3. Mohammad Shafeeq Afridi - November 2, 2009

hmmm Naina Me Becoming Ur Fan u lucky girl anywazz very nicee blog … thanks for everything Tata

4. Amjed saleem Alvi - November 21, 2010

Kabhi jawani main hum bhi ghazlain parrha kartay theh, abb jub keh mera shumar bhi buzurgon main honay laga hai, aap ki shayeri ne waisay hi dil ko chu liya jese pehli baar Perveen Shakir ki “Khushbu” ke mutalaye ne dil ko chua tha. Allah aap ke zor-e-qalam main izafa karay, khayalaat ko issi tarah razgi aur achuta pan de, Taazgi barqarar rakhay, aameen.

5. rahila - September 5, 2011

bohat khobsurat poetry,,,,NAINA F

neelam - September 6, 2011

Bohut Shukria 🙂

6. Rahila Habib - June 25, 2013

Naina very well said…blessings


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.