jump to navigation

Usko Ehsaas Ki Khushbo Se – اس کو احساس

Usko ehsaas ki khushbo se riha kerna tha - Farzana Naina - Word PressRose red 58

small Green Butterfly 1Name Naina multi pastle 1

Usko ehsaas ki khushboo se rihaa kerna tha
Phool ko shaakh se khilte hi judaa kerna tha

Green bublosmall Green Butterfly 1

Pooch baarish se wo hanste huey roti kyon hai
Shaam E Gulshan ko nasha’baar zara kerna tha

Green bublosmall Green Butterfly 1

Talkh lamhat nahein dete kabhi pyaason ko
Aasra de ke humein kuch tau bhala kerna tha

Green bublosmall Green Butterfly 1

Chand poora tha usey takte rahe yun shab bhar
Apni yaadon ka humein zakhm haraa kerna tha

Green bublosmall Green Butterfly 1

Dono simton ko hi murna tha mukhalif janib
Saath apna humein she’ron mein likha kerna tha

Green bublosmall Green Butterfly 1

Karb se aayi hai naina mein ye neelahat bhi
Zabt E Gham ka humein kuch farz adaa kerna tha

Heart Green bowButterfly green 96small Green Butterfly 1

Comments»

1. Muhammad salman - October 25, 2008

good i like it.

2. monir sepas - December 1, 2011

bahut hain acha hain,likthe rahao farzana ji

3. hassan khan - December 18, 2011

salam mainay bohat ameeq mutaalaa tou aap ki poetry kaa nahi kiyaa jo thora bohat parhaa os se mehsos howa k aap ki poetry kaa attitude bohat achaa hai bunyaadi tour per log her baat ko rad e amal k tour per paish kartay hain baher haaal aap kaa andaz e bayaan bohat musbat hai takalam aaap kaa khobsorat hai jo aik poet k liey bohat zarori hai main koi poet tou nahi lakin jo thori bohat samajh rakhtaa hon osi awalay se baat kar raha hon koch log poetry ko khayalon se kalam ki sorat main safhat per muntikal kartay hain lakin koch log aisay hotay hain poetry jin k dil per uterti hai aisay poet bohat kam hotay hain

Hassan khan

Farzana Naina - December 20, 2011

Was,Salaam Hassan Khan Sahab

I’m Much Obliged, Aap ki bari nawazish ke aap ne waqt nikaal ker apne khayaalat ko yahan qalambund kiya…….Khush Rahiye.

4. hassan khan - December 20, 2011

salam mojay maaloom naa thaa k aaap ne itni khobsorat site bana rakhi hai warnaa zaror pehlay kabhi visit kartaa nawa e waqt uk kaa aik weekly news paper hai os main khawateen kaa page daikhaa tou farzana naina k naam se search ki phir aap ki site ko payaa aisay mehsos howa jaisay main sadiyon se aap ko jantaa hon maazi main mairi b aik news paper k saaath wabestagi thi lakin ab mehaz nawa e waqt aur aik aad uk kaa koi akhbar parh laitaa hon becoz brusssels belgium main dosray akhbarat kaa milnaa moshkil hai aaap ko ilm o fun se khaafi lagao hai mojay ilm o fun k logon se gahri akidat hai Allah aap ko dunia ki saaari khushiyaan ataa karay

duaa go
Hassan khan

Farzana Naina - December 21, 2011

Salamat rahiye janab.

5. Hassan khan - December 22, 2011

salam aap kaisi hain main ne aap kaa introductionary home page parhaa agher aap mind naa karain tou main aap ka introduction apnay ilfaaaz main paish karna chahtaa hon umeed hai aap ko bohat pasand aaey gaaa aap k jawab kaa intezar rahay gaaa

Duaaa go
Hassan khan

hassan khan - December 25, 2011

salam main ne aap k liey aik urdu page bana kar send kar diyaa aap k email address per umeed hai aap ko pasand aaey gaa Allah hafiz

JAMSHAID - October 27, 2012

salam mojay maaloom naa thaa k aaap ne itni khobsorat site bana rakhi hai warnaa zaror pehlay kabhi visit kartaa nawa e waqt uk kaa aik weekly news paper hai os main khawateen kaa page daikhaa tou farzana naina k naam se search ki phir aap ki site ko payaa aisay mehsos howa jaisay main sadiyon se aap ko jantaa hon maazi main mairi b aik news paper k saaath wabestagi thi lakin ab mehaz nawa e waqt aur aik aad uk kaa koi akhbar parh laitaa hon becoz brusssels belgium main dosray akhbarat kaa milnaa moshkil hai aaap ko ilm o fun se khaafi lagao hai mojay ilm o fun k logon se gahri akidat hai Allah aap ko dunia ki saaari khushiyaan ataa karay

6. Rahila Habib - June 25, 2013

Beautiful…..


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.