Be’rooh – بے روح لڑکیوں کا ٹھکانہ
Be’Rooh larkiyon Ka thikana bana hua
Kamra hai mera aaeena khana bana hua
Maine tau koi baat kisi se nahi kahi
Socha hai jo wohi hai fasana bana hua
Nadiya mein kisne rakh diye jalte huey charaagh
Mausam hai chashm’e Tar ka suhana bana hua
Aurat ka zehn mard ki is kainaat mein
Ab tak hai uljhanon ka nishana bana hua
Mumkin hai maar de mujhe uski koi khaber
Dushman hai jiska mera gharana bana hua
Baarish ki aag hai mere andar lagi hui
Badal hai aanso’on ka bahana bana hua
Naina kai baras se hawa ki hon ham’nafas
Hai ye badan usi ka khazana bana hua