jump to navigation

Ger mein Darya ke – گر میں دریا کے پاس

Ger mein darya ke paar aaon gi

Blue Flower 9

Gar mein darya ke paar jaon gi

Dar Bhi lagta hai doob jaon gi

Blue Flower 27

Tere ashkon ke qeemti moti

Mein Gulo’bund mein jar’raon gi

Blue Flower 27

Mere jugnu se par salamat hain

Mein tumhein raasta dikhaon gi

Blue Flower 27

Naariyal ki safeid qaashon se

Roop ki chandni bichaon gi

Blue Flower 27

Dasht’e’jaan mein firaaq ke kheeme

Roz lagwaon gi, giraon gi

Blue Flower 27

Apnay bachon ke waastay Naina

Eik jannat sa ghar banaon gi

Blue Thank 1

 

31 August 2008 at 21:00

Armaan Munir Nasimi

Mere Jugnoo se par Salamat hain
Main Tumhein Raasta Dikhaaongi

Kya baat hai.. bohat pyara sher hai Farzana jee…

…Daad qobool kiziye.

18 December 2008 at 06:08

Farzana Khan Aap ki bari nawazish sahib…duaon mein yaad rakha kejiye.

19 December 2008 at 15:28

Naseem Akber fv.v.v wonderful poetry farzana khan

02 February 2009 at 00:02

Naseem Akber boht acha shar h per kar dil khush gogya

02 February 2009 at 00:10

Sohail H Khan jhaan ki hr khushi tere qadmon me laoon gi,terey aansoon ko moti me banaoon gi, bohat khubsurat he ye,

19 May 2009 at 16:16

Gurnam Singh Shergill narial kee safed kashoN —–what a imagination-touched the sky height-God bless you

12 June 2009 at 00:54

Syed Kami Shah khair jee…narial ki sufaid qashoN ka jawab nahi hai…allah saieN sohna izzat de.

12 June 2009 at 00:56

Farhat Perveen haye ri naian tumhain itti piyari batain karna kese aati hain.

12 June 2009 at 01:12

Nasim Syed I just posted your ghazal in the mujalla ” jangal wale” I am going to change that to this……..kya khoobsoorat ghazal hY

12 June 2009 at 01:27

Qayyum Khosa Superb poetry and awesome presentation . Thanks for tagging. Obliged for honor .

12 June 2009 at 02:23

Nasreen Syed Apnay bachhoN kay wastay nainaN
Aik jannat sa ghar banaooN gi ! !

Wah, Bohat Khoobsoorat tamanna..Allah issay poora karay..Aameen

12 June 2009 at 03:25

Naheed Virk Farzana G, ye muhabbat bhari shaairi ataa karne kaa shukriya! buaht khobsoorat ghazal hai.

12 June 2009 at 03:37

Sarah Sair wow….bohat khoob..I am speechless to say anything..

12 June 2009 at 04:07

Muhammad Kashif Sari ghazal ka jawab nahi …… kahan say alfaaz or soch lay ker aati hain…?
bohat khoobsorat ghazal hai……

ap k liye duaain

12 June 2009 at 04:21

Shoaib Afzaal faraq kay khaimay roz lagwayon gi giraon gi..bohat khoob
khush rahiyyee..

12 June 2009 at 04:50

Kusum Soni

bahut khoob Farzana ji! Nazam bhi khoob aur aapko chane waalon ki zannat bhi bahut khoob…Allah aapko noor aur mohabbat bhara dil umr ke aakhri aks tak bakhshe

mohabbat mein rone waalon ke aansu hi dariya hota hai
mohabbat mein hansne waalon… ka kaatil jahaan hota hai

12 June 2009 at 05:26

Farzana Khan Tamaam ahbaab ki anmol raey par saraapa sipaas.

12 June 2009 at 12:17

Punjabi Baithak Bahut khoobsurat hae yeh kalaam aapka, masha allah

12 June 2009 at 12:20

Mohammad Naeem

Samuel Taylor Coleridge apnee aik nizm k baray maiN kehtay haiN k jub maiN nay yeh likhee to is ka ilm sirf mujhay or meray Khuda ko tha, lekin critics or perhnay waloN nay is k woh woh tushreehaat ki haiN k is ka ilm ab sirf Khuda ko he ha…i. yeh baat unhoN nay qatun gussay maiN naheen kahee bulkeh woh yeh sabit kurna chatay thay k kisi fun paray k kaee dmensions hotay haiN.
You’ve come to know why to premise this.
doob janay ka dur apnee kum ma’aige or ejz k ezhaar k siwa kea hai, jub insaan esee bhe kefeeat ka shikar ho jata hai k kahan mohubbtu ke azeem vusaateeN k jin maiN doob janay k baad ubhernay ka koe tassawer mojood naheeN, or maiN na’cheez is k imthaan pay kahaN pora utar paooN ga. ajeeb he kulpa denay walee kefiat hai k phir isee dur maiN doob janay ke la’intha hasrut bhe mojood hai.
tajurba (experiment) kea jata hai lekin yahaN aik aisa tajurba hai jo apnay ho janay ka muntzer hai.
wah wah.
ab kea arz krooN k purh kur kea kefiat ho rahee hai
Allah speed!

12 June 2009 at 13:01

Tahir Mahmood bahut achi ghazal hai… shukariya

12 June 2009 at 13:07

tajurbay k kurnay or tajurbay k ho janay pe ghor zroor kriay ga! yeh saray rahay achnuk ho janay wala tajurba naheeN bulkeh aisa tajurba hai k jo aap chatay haiN aap ko khud say kurna bhe na puray lekin woh aap per waqay bhe ho ja’ay.
bareek… se philosophy he.
jesay aap kisi ko chah to rahay hooN lekin aap kehtay bhe na hooN or phir yeh bhe chahtay hoN k us ka izhar bhe kisi tarah mumkin pa’ay.
lumbee baat hai.

12 June 2009 at 13:10

Touqeer Taqee Farzana barri sahoolet or rwani sy kahi gai ghazal hy jis ka fori iblagh adab k aam qari ko bhi mutasir krta hy khush rhen Maula slamet rakhy

12 June 2009 at 13:18 · LikeUnlike

Sanaullah Zaheer bohat acshi lagi aap ki ye ghazal

12 June 2009 at 13:38

Syed Mehek Hashmi

farzana… ek batt sachy mannn se kahun? boht pyeara undaaz paya hay apne kheny ka.. ANMOL se lejhay may ANMOL si bat khey dehti hain.. jese meri ankhain es ghazal ko parh kr ANMOL musskurahatto se bharr gayi hain laba labb.. 🙂
subhaa sa…weaiaryyyyyy ke ujalayyyy apki zindagi main thehir jayein or jagmaghatein pheal jayein hr su…… 🙂

12 June 2009 at 17:17

ADii Aflatoon MashAllah buhaat achi gazal hai as always XD

12 June 2009 at 18:22

Babur Javed ‫اردو غزل میں تازہ کاری اور انفرادیت ، کار مشکل ھوتا جاتا ھے ان حالات میں اگر کوئی ایسا کر گزرے تو خوش گوار حیرت ھوتی ھے۔۔۔۔۔۔۔۔۔ آپ کی غزل پڑھ کر ایسی ھی کیفیت طاری ھے۔۔۔۔۔ نہال کر دیا ھے آپ کے اشعار نے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ محمد علی صاحب نے بہت اچھا تجزیہ کیا ھے ان کی تنقیدی نظر قابل ستائش بھی ھے اور قابل فہم بھی

12 June 2009 at 18:32

Hisam Memon nice thought with beautiful words, motherhood is menifested gracefully, its just like an innocent dream!

12 June 2009 at 22:03

Gulnaz Kausar khalis nisae lahjay ki umda ghazal hay ….

12 June 2009 at 22:08

Gulnaz Kausar aurat aur us kay jazbay, aur us kay khwab, aur us kay geet, aur us ki khushi, aur us kay gham aur us kay ansoo…..

12 June 2009 at 22:25

Muhammad Arshad Qureshi Wah,Boohat khoob

13 June 2009 at 05:42

Rotarian Syed Sohail Ahmed Beautiful poem !!!

13 June 2009 at 05:44

Rehman Faris Wonderful, Naina Ji !!! It’s a beautiful piece of creativity.

13 June 2009 at 06:36

Ali Zaryoun achi hay

13 June 2009 at 11:21

Muhammad Aslam Chaudhry Last shair is very beautiful ,wah wah Naina.I have built my house for my childern.

13 June 2009 at 12:56

Lubna Ahmed Really nice Farzana…your words touched my heart…:)

13 June 2009 at 20:58

Neelam Qazi wonderfull, how do you write such feelings Naina, dil ki baatein kehna kitna mushkil hota hai, us ke ashkon ke moti itne qeemti hain ke aap ne apne gale mein guloband bana ker jar liye, kya is se ziyada or koi khushnaseeb ho sakta hai, kya maan ki jannat bachon ke elawa kisi or ki ho sakti hai, darya ke paas bhi jana chahti hain or derti bhi hain, Gulnaz sahiba ne bilkul theik likha hai, Aurat jigno ke liye roshni par laga ker usko raasta dikha sakti hai, very nice very nice Naina.

13 June 2009 at 21:27

Farzana Khan Once again, I’m much obliged to all of you.

14 June 2009 at 00:48

Abdul Hameed Shahid wah naina jee kia baat hai aap ki

14 June 2009 at 15:32

Shakeel Jazib  Bohot khoob

22 June 2009 at 14:15

م۔م۔ مغل waah wah .. kia kehny .. nainaa.. jii.. kia khoob hay .. wah

02 July 2009 at 05:57

Tarannum Shabbir naina bohot khoob itni iyri soch isqader khoobsurat khayaal aur kitnay haseen lafzon ka intekhab jis terha gulo band main moti juray huay hotay hain isi terha aap ki is nazm main aik alfz moti ki terha jara hua hai

Comments»

No comments yet — be the first.

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.