jump to navigation

Dard Ki Neeli Ragein 1 درد کی نیلی رگیں یادوں میں

your-true-colours.gifsparkle.gifsparkle.gifsparkle.gifsparkle.gif

n-5.gifa-5.gifi-5.gifn-5.gif Multi Letter A 1

Dard ki neeli ragein yaadon mein jalne ke sabab

Saree chekhein rok leti hain sanbhalne ke sabab

Small Diamond

Dard ki neeli ragein to shor kerti hain bohut

Peker-e-nazuk mein is dil ke machalne ke sabab

Small Diamond

Dard ki neeli ragein barfaab bister mein paree

Toot jati hain tere khwabon mein chalne ke sabab

Small Diamond

Dard ki neeli ragein umron ke neele pher ko

Zard kerti jati hain sehra mein palne ke sabab

Small Diamond

Dard ki neeli ragein haathon mein doshezaon ke

Choriyaan tak tor deti hain bikharne ke sabab

Small Diamond

Dard ki neeli ragein thandi hawa se ashk-reiz

Surkh hoti rehti hain aansoo nigalne ke sabab

Small Diamond

Dard ki neeli ragein naina samander ban gaein

Hijer ki raaton ka pehla chaand dhalne ke sabab

Blue Love 1 Blue Rain 1 Blue Flower 34

Comments»

1. Bilal - May 16, 2008

wow ! mahshAllah bahot nice

aur design bhi mahshAllah bahot acha hai 🙂

look like main is ko churane wala hoon 🙂

2. F@rzana - May 31, 2008

Thanks Bilal, I’ve been to your page It’s also good, happy to seethis “Chori”.

3. mukhtar - January 5, 2009

hi

4. zulqarnan mallik from azad kashmir - October 9, 2009

salam naina gi kya bat ha ap ne to kamal kardeya Allah ap ko aur kamyabi dea ameen mery dua hamesha ap ke sathe rahee gi

5. Zeeshan Shah - November 12, 2009

superb … ala … kamal kiaya hai … if i m wrong u give a new touch to ghazal … mubarak hoo … keep it up carry on … i m poet too … but i m realy impresd by ur style :)))

Farzana Naina - November 17, 2009

Thanks a lot.

6. Abi - May 7, 2010

Good job. Song and poetry is the greatest work ” kadi aa mil sanwal yaar ve” i dunno this song is full with the mystery attraction

7. Sajid Mehmood Chaudhry - June 29, 2010

very very nice poetry.

8. Sajid Mehmood Shaudhry - June 29, 2010

Naina i read your poetry book. Ap boht pyara likhti hain. ksi k pass achi poetry ho tu please mery in numbers pr send krain. 03145438038, 03445438038. Sajid Mehmood Chaudhry From Azad Kashmir.
yay haseen shaam apni
abhi jiss meiN ghul rahi hai
teray parahan kee khushboo
abhi jiss meiN khil rahay heiN
meray khawab kay shagoofay
zera dair ka hai manzar

zera dair meiN ufq par
khilay ga koi sitaara
teri simt daik kar woh
karay ga koi ishara
teray dil ko aayay ga phir
kissi yaad ka bullawa
koi qissa-ay judaaee, koi kaar-ay naamukamal
koi khawab-ay naa shagufta, koi baat kehnay wali

humeiN chaahiyay tha milna
kissi ahad-ay mehrbaaN meiN
kissi khawab kay yaqeeN meiN
kissi aur aasmaaN par
kissi aur sarzameeN meiN
humeiN chahiyay tha milna…

Farzana Naina - June 30, 2010

Thanks 🙂

9. MUHAMMAD ZEESHAN - July 16, 2010

hallo

10. atif - October 25, 2010

salam naina g,main ne apki book to nai parhi par apki poetry ko aik song main parha hai by GOD maza aa gya,apki soch main romaniat k sath fikr bi hai,keep it up,,bbye

11. Rehan Sheikh - December 3, 2011

very nice.I like this very much.I am thankfull to urdupal and all team for providing such a good web,which has every thing in it.

12. shabbir shah - December 31, 2011

nice poetry

13. Tariq - August 5, 2012

very nice page ……Tariq

14. Zahid tandvi - October 5, 2013

aaj achanak net par gaya to aap ki kitab “titliyan hi titliyan “padhi bahut khub . . . wajd sa tari hogaya . . mobarakbad qubul kijiyega mera pehla sheri majmua “sulagte khuwab aur dusri “sukoote shab ” manzare aam par aa chuka hai . zahid tandvi tanda rampur up india mob no 09412587262


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.