jump to navigation

Dard Ki Neeli Ragein 2 درد کی نیلی رگیں تہہ سے

sparkle.gifsparkle.gif

Dard ki neeli ragein teh se ubhar aati hain

Yaad ke zakhm mein chingaariyaan dar aati hain

Flower blue 13

Roz parchaiyaan yaadon ki parindey ban ker

Ghar ke pichwa’are ke peepal pe uter aati hain

Flower blue 13

Suratein banti hain chahat ki ye kis mitti se

Baar’ha mitt ke bhi ye baar’e’digar aati hain

Flower blue 13

Ooday ooday se safooray ki ghanee tehniyoon se

Yaad ki surmaee kirnein si guzar aati hain

Flower blue 13

Roz khirki se qareeb us aam ke paas

Too’tiyaan chonch mein lay lay ke sehar aati hain

Flower blue 13

Ik wiraasat ki tarah gaon ki gurr si batein

Gathriyaan baandh ke iss dil ke nagar aati hain

Flower blue 13

Jitna bhi chahon dar’e’yaar se bach ker niklon

Tohmatein utni ziyaada meray sar aati hain

Flower blue 13

Itni si baat pe acchi nahein shoreedah’sari

Shaam ko chiriyaan tau sab apnay hi ghar aati hain

Flower blue 13

Sharm se uljhay duppattay ki jo kholon girhein

Dil ki Naina ragein sab khulti nazar aati hain

Flower blue 13 butt49.gif Flower blue 13

Nasir Ali

بہت اچھی ، دھیمی لیکن پر تاثیر۔۔۔ہر شعر الگ لیکن کسک بھری ایکتا لیے آپ کی اس تخلیق نے واقعی واقعی متاثر کیا ہے۔آج کا دن بہت اچھا رہا کہ تین عمدہ تخلیقات پڑھنے کو ملیں۔بہت شکریہ ۔۔خوش رہیں آپ۔۔

04 September 2009 at 12:03 ·

Irfan Murtaza

ROAZ TANHAAIYAAN YAADON KAY PARINDAY BUN KER

Wah…keya khubsoorat misra hay…..MASHALLAH

04 September 2009 at 13:58

Mirza Zaheer Ahmed

zabardast farzana G .

04 September 2009 at 14:02

Nasim Syed

I love the way you glorifie your experiences, you pick the simple words and paint them withe the rainbow of your thoughts and then arrang them in a way that they become a beautiful painting, you believe in c larity of expression and colourful imagery..O’dey O’dey se safore ke ghani thennyoN …yad ke suma’e kirneN, dard ke neele rageN…illustrate … See moreyou thoughts and feeling so beautifuly. I believe you posted it before at the time of danga fasad and this ghazal was stabbed in the back….love for you and your poetry

04 September 2009 at 15:47

Majeed Akhtar

اودے اودے سے صفورے کی گھنی شاخوں سے
یاد کی سرمئی کرنیں سی گذر آتی ہیںبہت خوبصورت اور اوریجنل۔ ایک غزل۔ مسلسل کا مزہ۔ ۔ ۔ !
See more
لکھتی رہئے نیناں۔ یہ آپکا اپنا مخصوص انداز ہے ۔

04 September 2009 at 16:23

Armaan Munir Nasimi

اتنی سی بات پہ اچھی نہیں شوریدہ سری
شام کو چڑیاں تو سب اپنے ہی گھر آتی ہیںواہ واہ۔۔۔ کیا بات ہے۔۔۔ اور پورے دن کہاں جاتی ہیں؟؟؟؟

04 September 2009 at 17:33

Rakhshanda Naveed

bari khoobsoorat fiza kalaam ki .. bht achaa mehsoos hua parhte parhte …nainan wonderful

04 September 2009 at 19:27

Faiz Alam Babar

bohut umda….fitrat ka shaakaaroN ko aap ney baRi umdagi sey sheroN ka roop dey kar naye jahaan e muaani peda kiye haiN daad qabool keejiye thanx 4 share.

04 September 2009 at 22:07

Athar Khan

bohat khoob farzana jee, hameisha kee tarha. khush rahiye!

05 September 2009 at 00:46

Syed Waqar Ali

V.Nice thanks a lot…

05 September 2009 at 04:47

Junaid Hayat Tashif

wah wah wah bohat bohat umda.

05 September 2009 at 05:15

Iqbal Khawar

buht umda farzana sahiba

05 September 2009 at 09:05

Gulnaz Kausar

آپ کے اپنے خاص رنگ کی الگ پہچان کی تحریر ۔۔۔۔ عورت کے ازلی دکھ جو قطرہ قطرہ ٹپکا کرتے ہیں آپ کے قلم سے پر یہاں جو دکھ ہے اس میں نسائی پن کے ساتھ ساتھ کسی دور دیس کی مہک بھی ہے ۔۔۔ جہاں کبھی اول اول دن گزارے ہوں ۔۔۔

06 September 2009 at 09:38

Zulfiqar Ali Sunny

Wonderful! Farzana Ji, you have the power to express your thoughts using simple imagery, you use very petty references to ease the inner procrastination of feelings. Nice job!

06 September 2009 at 12:48 ·

Mohammad Naeem

Nostalgia is great force making one the reminiscent of all they have left far behind. The Ghazal portrays all experienced in the girlhood when life is far too energetic but these experiences of the age can be as panging in the years to come, what have discussed in here.
Cheers!!

07 September 2009 at 10:05

Danish Aziz

Boaht khoob manzar kashi ha Poetry main asal hussan us ki manzar kashi hoti ha or ye kisi kisi ko wadiat ha key wo jo likh rahay hoon wo aisa mehsos ho jaisy nazar aa raha ha . Khoob composition jeety rahiay khush rahiay

08 September 2009 at 07:26

Waheed Akhtar Wahid

Naina G… Aaap ki ghazal nazar say guzri. Lutf aya parh kar aur aap kay kalam ki umdagi ka andaza bhi howa.

22 September 2009 at 13:13

Talib Ansari Ansari

بہت خوب غزل آپ کی فنی دسترس پر دال ہیے الفاظ کو برتنے کا سلیقہ بھی ہے تحسین قبول کیجیے زیر نظر غزل کا چھٹا شعر بہت پسند آیا گڑ سی باتیں اور پھر گٹھڑیاں باندھ کے آنا ایک خاس پس منظر کی عکاس ہیں یہ شعر پڑھتے ہی آپ گاوٴں کی فضا میں پہنچ جاتے ہیں

19 December 2009 at 17:00

Raja Ishaq

munfarid andaz-e-bayan…khoobsurat kafiyat…khushbu aor rang se kashhed kiye huey images…..jin mein culture ki udaas lekin tro taza mahek shamil hai…dil ko choone wali ghazal kehne par mubak badd qubool kijiye….

28 January at 06:21 ·

Zahoor Soomro

I can’t define in words. thats fantastic.

29 January at 17:41

Flower blue 13

Comments»

1. Habib sab ka - October 29, 2008

ghazal aik derd hai ya lafaz khud hi bantay hain aur samjnay walay kia samjtay hain

2. Imtiaz Ali Gohar - September 22, 2009

Wah…Bahut khoob

Imtiaz Ali Gohar

3. riaz ahmad - May 24, 2010

Very good . Bahot Khoob. Good idea of poem. You have touched the Trgedies and some hidden feelings of a thirsty & sady women.

4. Ali Amanat - May 29, 2010

ap ki yeh ghzal ashi nahi lagi pata nahi kuo kush khan maza nahi aya

5. tariq.daar - November 7, 2010

ohhhhhh bohat achi hai

6. pomey - May 6, 2011

what a nice poetry so nice

7. bhutto_asif09@yahoo.com - June 19, 2011

Salam

Aap ki shairy Buhat alag our buhat achi he

kiya ap ka koi our book he (Derd ki neeli ragin) ke elawa
mujhe uska nam chahye


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.