jump to navigation

Kabhi Tum Bhi – کبھی تم بھی ہم کو

Blue 2 dividerkabhi-tum-bhi-humko-hi-sochna.jpg

Kabhi Tum bhi humko Hi sochna

Raha Dil kahan, Kabhi khojna

Kabhi Udte panchi dabochna

Kabhi khud khurand ko nochna

Kabhi jab shafaq mein hansi khiley

Kisi nain jheel mein khoon miley

Tau udaas chand ko dekhna

Koi Rukh akele hi dhoondna

Ye rutein jo dheere se chooti hain

Humein khushbo’on se bhigoti hain

Ye rutein na phir kabhi aayeingi

Ye tau rooth rooth ke jayeingi

Ye rutein anookha suroor hain

Ke ye paas hoke bhi dor hain

Inhein tum dua’aon mein dhalne do

Inhein aasmaan ko chalne do

Suno hook jab kisi koonj mein

Inhein sard hawaon ki goonj mein

Tau udaas chaand ko dekhna

Kabhi tum bhi humko hi sochna

Farzana Naina

Comments»

1. muhammad zahid . - April 19, 2011

ham jab k paas hen
phir aap kiyyon udaas hen
ham pay kuch ayyaan karo
muaamla biyyan karo
k kiyyon raheen e yaas hen
jab k ham to paas hen
or aap phir udaas hen .
AAP KI SHAERI MEIN KAAFI SAADGI HEY OR HAR HAR SHER YE BATATA HEY K KISI ORAT K JAZBAAT KI TARJUMAANI KI GAI HEY.OOPER LIKHI HOI NAZAM MERI HEY , LEKAN AB APNAY JAZBAAT KO PASE PUSHT DAL KAR MUASHI OR MUASHARTI MUAMLAAT PAR SOCHAT HON OR LIKHTA HON. HO SAKEY TO AAP BI LIKHEN. QOM KO AIK OR IQBAL KI ZAROORAT HEY NA K AIK OR PARVEEN SHAKIR KI .
MUHAMMAD ZAHID .

2. Rahilahabib - November 22, 2011

KABHI JB SHAFQ MEIN HASNSII KHILAYKISI NAIN JHEEL MEIN KHOO’N MILAY,,
TU UDAAS CHAAND KO DEKHNA KOI RUKH AKAILAY HI DHONDNA,
AWESOM POETRY,,,,,
BLESSING NAINA

3. prince alone - April 18, 2014

hum to hasten hian tum ko hassaane ki khater ae dost warna zakham to buhat hain dil pe ki roya bhi nahi jata


Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.