jump to navigation

Shaam ki Gungunahaton – شام کی گنگناہٹوں

0 Blue Butterfly 4 butterfly-yellow-sl Colour changing flowersmall Yellow Butterfly 10 Blue Butterfly 4

Notepad 15 Shaam ki gungunahaton mein gum

Blue flower Name 1

Multi Letter N 1Multi Letter A 1Multi Letter i 1Multi Letter N 1Multi Letter A 1

Shaam ki gunguna’haton mein gum
Hon ajab sansan’haton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Dil kisi dard se bhar aaya hai

Tha teri muskurahaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Beete lamhon ke bojh dho dho kar
Ho gai hon thakawaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Tera lehja tau rooh kheincta hai
Jism O Jaan hain rukawaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Aakh lai thi qarz beenai
Ab ye hai jagmaga’haton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Chandni khul ke ro nahi sakti
Raat, din ki lagawaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Chehre tau roshni se bante hain
Aaeenee hain banawaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Meri paa’zeib raqs mein zakhmi
Bazm hai jhanjhana’haton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Aah O naale ki teiz yorish mein

Jism hai thar’tharahaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

Hon abhi tere dil ke jungle mein

Gul ruton ki tarawaton mein gum

0 Blue Butterfly 4

 

Hont tak baat la ke mein naina
Kyon hui hich’kicha’haton mein gum

0 Blue Butterfly 4Blue Flower 520 Blue Butterfly 4

Aye meray Ehad kay insaan zera sun!

wohi dard-e nadaan..

wohi tareek-e dermaa’n

teri hasti abhe taq hai…
teray hisaar ki pabannd..

wohi qissa reha dil-e nadaa’n kay jhagroon ka…

gul-o gulshan main rehi, teray afqar ki dhunn

(i know no qafia no radeef.. Thats what came into my mind.. after reading this..:$
Appi great work .. )
See more

23 May 2008 at 16:17

Farzana Khan Bohut Khoob Shay, kaise ho babu, hope exams not bothering too much…!

23 May 2008 at 22:42

Farzana Khan Thanks Rahimoon, lekin daad kis ko di hai ?

23 May 2008 at 22:42

Rabia Riaz SimPly
BeAuTiFuL……..!!!

Keep It Up 🙂

24 May 2008 at 06:18

Noman Abbasi she’s great rabz isnt ..she?..
Appi rocks.. keep it up..x

24 May 2008 at 11:52

Noman Abbasi ‎@ aapi .. its all over now.. feels great being a free man .:)

24 May 2008 at 11:53

Farzana Khan Thank you Samina, I’m glad that you liked It.

06 June 2008 at 23:47

Mahtab Qadr Wah wah bahut khoobsurat andaz e bayaN aur Radeef ke sath insaaf qabil e mubarakbaad haiN.
Mahtab

01 July 2008 at 17:57

Akhtar Amin Farzana bohat achah Ghazal hi is very appreciable

01 August 2008 at 13:52

Farzana Khan Thanx a lot Akhtar Sahib, keep up your support.

07 August 2008 at 10:22

Sohail Majeed Naina acha lekha he daad hazir he…

Tum jo keh na saki hickkichhatoN mein!
Bin kahe keh gaye…tumhare NainaaN

01 September 2008 at 12:22

Salman Raza Wah Wah Wah Kia Kaihna Farzana Ka bohot khob…..

02 September 2008 at 07:52

Meri paazaib raqs maiN zaKhmi
bazm hai jhanjhnahToN maiN gum

HonT tak baat laa keh maiN NainaaN
kyooN hooi hichkchahToN maiN gum

Bohat khoob sahaili..Kia baat hai.See more

24 January 2009 at 00:20

Farzana Khan Ooohh, thanks my sweet, so nice of you to encourage straight away…..Bohut sa purkhuloos pyaar 🙂

24 January 2009 at 00:22

Abdul Qayyum Khan Bangash Very Beautiful!

24 January 2009 at 00:24

Farzana Rafique Bohat khoob! kya ghazal hai,aap tu chaa gai hain 🙂

24 January 2009 at 00:46

Tamkinat Mahmood Hina aap ke doosri ghazlon jsesee naheen lagi…yeh…

behr haal ghazal tu hai lol

24 January 2009 at 03:25

Nasim Syed Farzana are bhaee tum se to milna pRy ga
Bohuteeeeeeeeeee khoob

24 January 2009 at 04:57

Khalid Mahmood Ata Beautiful Ghazal, well balanced… Splendid Work!

24 January 2009 at 07:46

Irfan Murtaza

Mairi paazaib raqs maiN zakhmi
Bazm hay jhunjhunaahatoN maiN gum….

Bohat achha shair hay…mubarak ho Ferzana Ji.
Aap nay matla “HATON” sey bund kerkay “WATON” sey bina chaabi khol diya….Hummmm!!!!!!

Achhi ghazal per mubarakbaadSee more

24 January 2009 at 08:10

Ali Zaryoun

hamesha aiesa hi karti ho tum…yehi baat main kami se kahi thi k jis waqt tum ghazal post karne se pehle sellect karo kash us waqt tum Ali zaryoun ban jaya karo…is ghazal se kahin behter ghazlen tum nay kahin hui hain..pata nahi flue hon…e k baad janab ki yaddasht kam ho gayi hay k un ghazlon ki taraf dhayan hi nahi jata..aur phir tumhari nazmain apni misaal aap hain..is ghazal pe meri taraf se tumhare liye chaye ka bare wala cup..pio aur foran apne pc ka wo folder open karo jahan tum nay apni wo nazmain sambhali hui hain jin ko parhte hue mujhe tumhrai dosti par fakhr hota hay..
ab kahin yeh mat samjh lena k yeh ghazal achi nahi..yeh b achi hay…but tamkinat nay kitna sahi kaha k ap ki baqi ghazlon jeis nahi..ab agar janab aap ka thora dhayan ghar k kaamon,pholon ko sajane,bachon k muamlat dekhne aur “khane peene” se hate to apni wo nazmain aur ghazlen yahan post karo jo tumhari kitaab mein moujood hain..
hamesha sukhi raho aur…..!!
AliSee more

24 January 2009 at 08:34

Waqas Arshad zaberdast kiya khanay !!!!!!!!!!!!!

24 January 2009 at 08:42

Mirza Zaheer Ahmed nice awsome

24 January 2009 at 08:48

Sajid Ali Boot Khoob Bohoot hi khoob, koi sani nahi..

24 January 2009 at 09:19

Mehmood Khan manna parhega keh aap shaaoro achee kurrtee hein

24 January 2009 at 10:29

Athar Khan

Farzana, yahaan muamla thora sa mukhtalif hai, shayad iss liye kay mein nay aap ko ziadah nahin parha, aur shayad iss liye bhi kay na tou mein shair hoon aur na saahib e kitaab. Shaairi ko ‘art’ kee aur bohat si asnaf ki tarha aik zareeae …izhar samajhta hoon. Agar baat kissi ‘already acheived’ maayaar par hamaisha qaim rehnay ki hoti tou Mopissan aur Remberandt jaisay mussawiron kay bekaar tareen(naaqideen ki rai mein) aur naMukkammil sketches kabhi haathon haath farokht na hotay aur na aaj tak ‘demand’ mein rehtay, na Ghalib apna poora deewaan aik sher kay iwaz dainay ko tayyar ho jaatay. Yaani maayaar tou badaltay hi rehtay hein, Assal cheeze tou jazbon ki sachai aur kaawishon ka khuloos hona chahiye, aur yeh donon cheezen meri naaqis tareen rai mein hamaisha, hamaisha daad ki mustahiq hoti hein……Daad…. jo’ inspiration’ banti hai mazeed izhaar k liye…….Izhaar…..jo kissi ka bhi hamiasha ‘perfect’ nahin hua.See more

24 January 2009 at 14:0

Ali Khan Great…Farzana jee..

24 January 2009 at 17:53

Najia Noor Muhammad MASHALLAH KIA BAAT HAI.

24 January 2009 at 20:11

Naheed Virk chehre tau roshani se bante haiN
Aa’ine haiN banaawaTon meN gum

Waah, farzaana G buhat khoob

25 January 2009 at 00:20

Comments»

1. munawar ali - February 2, 2010

assalam o uleekum maire piyare dosto app ko yai gift hai

2. LIAQUAT ALI KHAN - October 23, 2010

MERI PA ZEB RAQS MAIN ZAKHMI
BAZM HAI JHANJHANAHATOON MAIN GUM……..

BOHT HI PIYARI GHAZAL KA BOHT HI PIYARA SHAIR HAI. MUJHAY AIK SHAIR YAAD AA GAYA JO ISI QISM KI SOORAT-E-HAAL KO ZAHIR KERTA HAI.

PARASHTISH UN KI HOTI HAI JO BUT MAIN NE TARASHAY HAIN
MAGAR MUJH KO FUN-E-AAZAR GARI MAIN KUCH NAHI MILTA

AAM RAWISH SE HAT KER AIK BOHT HI UMDA GHAZAL HAI.

3. Sajid khan - May 22, 2013

Sary post qabily daad hai Lhasakhaas farzana AAP waqai qabily tarif hai ,


Leave a reply to Sajid khan Cancel reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.